Desh Bhakti / Patriotic Songs with Lyrics

Patriotic Songs List

Song Title Movie Singer(s)
Vande Mataram ABCD2 Daler Mehndi, Tanishka Sanghvi, Badshah (Rap) and Divya Kumar.
Ae Mere Watan Ke Logon Single Lata Mangeshkar
Ab Tumhare Hawaale Watan Saathiyon Haqeeqat (1964) Mohammed Rafi
Saare Jahan Se Acha Single Lata Mangeshkar
Mere Desh Ki Dharti Upkar (1967) Mahendra Kapoor
Aye Mere Pyaare Watan Kabuliwala(1961) Manna Dey
Apni Azadi Ko Hum Leader (1964) Mohammed Rafi
Aye Watan Tere Liye Karma (1986) Mohammed Aziz & Kavita Krishnamurthy
Aye Watan Aye Watan Shaheed (1965) Mohammed Rafi
Dekho Veer Jawanoo Apne Aakraman Kishore Kumar
Jahan Dal Dal Par Sone Ki Chidiya Sikandar-e-Azam (1965) Mohammad Rafi
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sarfarosh (1999) Sonu Nigam & Roop Kumar Rathod
Maa Tujhe Salaam Single A R Rahman
Aisa Desh Hai Mera Veer-Zaara Lata Mangeshkar, Udit Narayan, Gurdas Maan & Preetha Mazumdar
Sarfaroshi Ki Tamanna The Legend of Bhagat Singh Sonu Nigam & Hariharan
Mera Rang De Basanti The Legend of Bhagat Singh Sonu Nigam & Roop Kumar Rathod
Tu Bhoola Jise AIRLIFT K.K
Satyamev Jayate :Theme Song Satyamev Jayate Ram Sampath & Keerthi Sagathia

Vande Mataram - ABCD2

Singer: Daler Mehndi, Tanishka Sanghvi, Badshah (Rap) & Divya Kumar.
Music: Sachin-Jigar
Lyrics: Mayur Puri

. Ik tera naam hai saacha Ho..
Ik tera naam hai saacha
Mann mein aan baacha
Bas naam tera maa ho..

Ek pehchan meri tu hi
Jind jaan meri tu hi
Jahan mera maa..

Daler Mehndi:

Ho..
Tujh pe vaar na
sau waari jaan main
Tujh pe vaar na
sau waari jaan main
Tere qurbaan meri maa
Vande Mataram Vande Mataram
Vande Mataram Vande Mataram

Badshah Rap:

Aa gayi ghadi hai Dekho sabse badi
Mujhse bas do kadam pe
Dekho jeet khadi
Haan mujhe kab se
Intezaar tha
Aaj ki shaam ka
Ab dekho kya karta hai
Yeh banda hindustan ka
Jo kissi ke bhi aage jhuka nahi
Haan main hoon uss desh ka
Tu baith ke le nazara
Scrabble aur base ka

Seedha chaloon
Ya chaloon dhaai dhaai
Chaal main
Khel mera hoga yeh
Dekh lambi race ka

Mitti ka karz hai
Main mar ke bhi chukaunga
Tujhe mitti kar doonga
Ya phir main mitti mein mill jaunga
Jo bhi kaha tha
Wo main karke dikhaunga
India se hoon
Khaali haath nahi jaaunga

Main jam ke pakad jhaad doonga
Tujhko main ukhaad doonga
Jahan se tu aaya hai na
Wahin tujhe gaad doonga
Teri hi zameen pe aaj
Tujhe hi pachhaad doonga
Jhanda India ka bete gaad doonga

Jeetoon ya haaroon
Mujhe koi parwah nahi
Tumko main dikhaaun
Mujhe koi parwah nahi
Maa hi mera Rab hai meri
Maa hi mera peer meri
Maa ke pairon ke alawaa
Koi dargah nahi

Naachunga naachunga
Mujhko fitoor hai
Naachunga naachunga
Dil majboor hai
Aaj ki shaam meri
Maa ke hai naam
Meri Maa mujhe dekhegi
Naachna zaroor hai
Main Jeetoon ya haaroon mujhe
Naachna zaroor hai

Meri Maa mujhe dekhegi
Naachna zaroor hai
Naachna zaroor hai mujhe
Naachna zaroor hai
Maa meri mujhe dekhegi
Naachna zaroor hai
Rang kesar soora waaliya
Rang sabz khili phool kaariya
Ho rang chitta niyat saaf da....
Ho rang teenon jaan se pyaaryeaan..
Rang teenon jaan se pyaaryeaan

Ho. Rang meri maayi ka
Rang sachchai ka
Har achchai ka hai maa

Rang teri reet ka
Rang teri preet ka
Rang teri jeet ka hi
Chhaaye chhaaye

Kaise main chupawaan tera ehsaan
Maayi teri chunariya lehraaye
Jab tak mujh mein hai zara si jaan
Maayi teri chunariya lehraaye

Ik tera naam hai saacha ho..

Vande Mataram Vande Mataram
Vande Mataram Vande Mataram
Sujalaam suphalaam malayaaj sheetlaam
Sasyashyaamalaam maataram Vande..(3x)

Aye maai re..

Shubhrajyotsnaa pulakitayaaminim
Pullakusumita drumadala shobhinim
Suhaasiniim sumadhura bhaashhinim

Sujalaam suphalaam, malayaj sheetlaam
Sasyashyaamalaam maataram vande (x3)

Maai re..

Ae Mere Watan Ke Logon

Singer: Lata Mangeshkar
Music: C. Ramchandra
Lyrics: Kavi Pradeep
Song is dedicated to Indian soldiers who died during the Sino-Indian War Lyrics

Aye mere watan ke logon
Tum khoob laga lo naara
Ye shubh din hai hum sab ka
Lehraa lo tirangaa pyara
Par mat bhoolo seemaa par
Veeron ne hai praan ganwaaye
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Kuchh yaad unhe bhi kar lo
Jo laut ke ghar na aaye
Jo laut ke ghar na aaye

Aye mere watan ke logon
Zara aankh mein bhar lo paani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani (x2)

Jab ghaayal huaa Himalaya
Khatre mein padi aazaadi
Jab tak thi saans lade wo
Jab tak thi saans lade wo
Phir apni laash bichhaa di
Sangeen pe dhar kar maatha
So gaye amar balidaani
Jo shaheed huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani

Jab desh mein thi Diwaali
Wo khel rahe the Holi
Jab hum baithe the gharon mein
Wo jhel rahe the goli
Thay dhanya jawaan wo apne
Thi dhanya wo unki jawaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani

Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Sikh koi Jaat Maratha
Koi Gorkha koi Madrasi
Koi Gorkha koi Madrasi
Sarhad pe marane waala
Har veer tha Bharatwasi
Jo khoon gira parvat par
Wo khoon tha Hindustani
Jo shahid huey hain unki
Zara yaad karo qurbaani

Thi khoon se lath pat kaaya
Phir bhi bandook uthaake
Dus dus ko ek ne maara
Phir gir gaye hosh ganwaa ke
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Jab ant samay aayaa to
Keh gaye ke ab marte hain
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Khush rehnaa desh ke pyaaron
Ab hum to safar karte hain
Ab hum to safar karte hain
Kya log thay wo deewaane
Kya log the wo abhimaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani

Tum bhool naa jaao unko
Iss liye kahi ye kahaani
Jo shahid huey hain unki
Zaraa yaad karo qurbaani
Jay Hind… Jay Hind ki senaa
Jay Hind… Jay Hind ki senaa
Jay Hind, Jay Hind, Jay Hind

Ab Tumhare Hawaale Watan Saathiyon

Film: Haqeeqat (1964)
Singer: Mohammed Rafi
Lyrics: Kaifi Azmi
Music: Madan Mohan
Lyrics

Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon

Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,

Saans thamti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar hamaare, toh kuch gham nahin
Sar Himalaya ka humne na jhukne diya
Marte marte raha baankpan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Zinda rehene ke mausam, bahut hai magar
Jaan dene ki rut roz aati nahin
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawaani jo khoon mein naahati nahin
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Raah qurbaaniyon ki na veeran ho
Tum sajaathe hi rehna naye kaafile
Fathe ka jashn is jashn ke baad hein
Zindagi maut se mil rahi hai gale
Bandlo apne sar se kafan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..

Khench do apne khoon se zameen par laqeer
Iss tarah aane ne paaye na raawan koyi
Tod do haath agar haath uthne lage
Chhune paaye na Sita ka daaman koyi
Ram bhi tum, tumhi Lakshman saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon….

Saare Jahan Se Acha

Written By : Muhammad Iqbal

Lyrics

Saare Jahaan Se Accha Hindustaan Hamaara
Ham Bulbulain Hai Is Ki, Yeh Gulsitaan Hamaara
Yeh Gulsitaan Hamaara

Ghurbat Mein Hon Agar Ham, Rehta Hai Dil Watan Mein
Samjho Wahin Hamain Bhi, Dil Hai Jahaan Hamaara

Parvat Woh Sab Se Ooncha, Hamsaaya Aasmaan Ka
Woh Santri Hamaara, Woh Paasbaan Hamaara
Saare Jahaan Se Accha Hindustaan Hamaara
Ham Bulbulain Hai Is Ki, Yeh Gulsitaan Hamaara
Yeh Gulsitaan Hamaara

Godi Mein Khelti Hain Is Ki Hazaaron Nadiyaan
Gulshan Hai Jis Ke Dam Se Rashk-E-Jahaan Hamaara
Mazhab Nahi Sikhaata Aapas Mein Beyr Rakhna
Hindi Hain Ham Watan Hai, Hindoostaan Hamaara
Hindi Hain Ham Watan Hai, Hindoostaan Hamaara

Saare Jahaan Se Accha Hindustaan Hamaara
Ham Bulbulain Hai Is Ki, Yeh Gulsitaan Hamaara
Yeh Gulsitaan Hamaara

Mere Desh Ki Dharti

Movie : Upkar (1967)
Singer : Mahendra Kapoor
Music Director : Kalayanji-Anandji
Lyrics : Gulshan Bawra

Mere desh ki dharati..
O Mere desh ki dharati sonaa ugle, ugle heere moti
Mere desh kee dharati

Bailon ke gale mein jab ghungaru
Jeevan kaa raag sunaate hai
Gham koson door ho jaataa hai
Khushiyon ke kanwal musakaate hai

Sun ke rahat kee aawaaje
Yun lage kahin shehanai baje
Aate hi mast bahaaron ke dulhan ki tarah har khet saje
Mere desh ki dharati..

Jab chalte hain iss dharati pe hal, mamtaa angadaiyaan leti hai
Kyo naa pooje iss maati ko, jo jeevan ka sukh deti hai
Is dharati pe jis ne janam liya, usne hi paaya pyaar tera
Yahaan apnaa paraaya koi nahi, hain sab pe, maan, upakaar tera
Mere desh ki dharati..

Ye baag hain Gautam Nanak ka, khilte hain aman ke fool yahaan
Gaandhi, Subhaash, Tagore, Tilak ayese hain chaman ke phool yahaan
Rang haraa hareesing nalawe se, rang laal hain laal bahaadoor se
Rang banaa basantee bhagatasing rang aman kaa weer jawaahar se

Aye Mere Pyaare Watan

Movie : Kabuliwala(1961)
Singer : Manna Dey
Composition : Salil Chowdhary
Lyrics : Prem Dhawan

Ae mere pyaare watan
Ae mere bichhde chaman
Tujhpe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan (x2)

Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Tere daaman se jo aaye unn hawaaon ko salaam
Choom lun main us zubaan ko jisape aaye teraa naam

Sabse pyaari subah teri
Sabase rangeen teri shaam
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Maa kaa dil banke kabhi seene se lag jaata hai tu
Aur kabhi nanhi si beti ban ke yaad aata hai tuu
Jitna yaad aataa hai mujhako
Utanaa tadpata hai tu
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Chhod kar teri zameen ko door aa pahunche hain hum
Phir bhi hai ye hi tamanna tere zarron ki qasam
Hum jahaan paidaa hue
Us jagah pe hi nikale dum
Tujh pe dil qurbaan
Tu hi meri aarzoo
Tu hi meri aabroo
Tu hi meri jaan

Apni Azadi Ko Hum

Movie : Leader (1964)
Singer : Mohammed Rafi
Music Director : Naushad
Lyrics : Shakeel Badayuni

Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin

Humne sadiyon mein ye aazaadi ki nemat paayi hai
Humne ye nemat paayi hai
Saikdon qurbaniyan de kar ye daulat paayi hai
Humne ye daulat paayi hai
Muskura kar khayi hain seeno pe apne goliyaan
Seeno pe apne goliyaan
Itne veerano se guzre hain to ye jannat paayi hai
Khaak mein hum apni izzat ko mila sakte hain
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin

Kya chalegi zulm ki ahele wafa ke saamne
Ahele wafa ke saamne
Aa nahin sakta koi shola hawaa ke saamne
Shola hawa ke saamne
Laakh fauje leke aaye aman ka dushman koi
Laakh fauje leke aaye aman ka dushman koi
Ruk nahin sakta hamari ekta ke saamne
Hum wo pathar hain jise dushman hila sakte nahin
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Vande Mataram…

Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Sar jhuka sakte nahin

Waqt ki aawaaz ke hum saath chalte jayenge
Hum sath chalte jayenge
Har qadam par zindagi ka rukh badalte jayenge
Hum rukh badalte jayenge
Gar watan mein bhi milega koi gaddar-e-watan
Koi gaddar-e-watan
Apni takat se hum uska sar kuchalte jayenge
Ek dhoka kha chuke hain aur kha sakte nahin
Apni aazaadi ko hum hargiz mita sakte nahin
Vande matram vande matram vande matram

Hum vatan ke naujawan hain humse jo takrayega
Humse jo takrayega
Wo humari thokaron se khaak mein mil jayega
Khaak mein mil jayega
Waqt ke toofan mein beh jayenge zulm-o-sitam
Aasmaan par ye tiranga umr bhar lehraayega
Umar bhar lehraayega
Jo sabak bapu ne sikhlaya bhula sakte nahin

Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin
Sar kata sakte hain lekin sar jhuka sakte nahin

Aye Watan Tere Liye

Movie : Karma (1986)
Singer : Mohammed Aziz, Kavita Krishnamurthy
Music Director : Laxmikant-Pyarelal

Mera karma tu mer dharma tu
Tera sab kuch mai mera sab kuch tu
Har karam apna karenge
Har karam apna karenge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye
Har karam apna karenge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye
Har karam apna karenge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye

Tu mera karma tu mera dharma
Tu mera abhiman hai
Aye watan mahbub mere
Tujhpe dil kurban hai
Aye watan mahbub mere
Tujhpe dil kurban hai
Hum jiyenge or marenge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye

Hindu muslim sikh isayi
Hum watan hum nam hai
Hindu muslim sikh isayi
Hum watan hum nam hai
Jo kare inko juda
Majhab nahi ilzam hai
Hum jiyenge or marenge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye

Akeli galiyo me chala kar
Nafrato ki goliya
Lutte hai kuch lutere
Dulhano ki doliyo
Lut rahe hai aap wo
Apne gharo ko lut kar
Khelte hai bekhbar
Apne lahu se goliya
Hum jiyenge or marenge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye
Dil diya hai jan bhi denge
Aye watan tere liye

Aye Watan Aye Watan

Movie : Shaheed (1965)
Singer : Mohammed Rafi
Music Director : Prem Dhawan
Lyrics : Prem Dhawan

Jalte bhi gaye kahte bhi gaye
Aazaadi ke parwaane
Jeena to usi ka jeena hai
Jo marna watan pe jaane
Aye watan aye watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak loota jaayenge
Phool kyaa cheez hai tere qadmon pe ham
Bhent apne saron ki chadhaa jaayenge
Aye watan aye watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Aye watan aye watan

(Koi Punjab se koi Maharashtra se
Koi UP se hai koi Bangal se) - (x2)
Teri pooja ki thaali mein laaye hain ham - (x2)
Phool har rang ke aaj har daal se - (x2)
Naan kuchh bhi sahi
Par lagan ek hai
Jyot se jyot dil ki jagaa jaayenge
Aye watan aye watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Aye watan aye watan

(Teri jaanib uthhi jo kehar ki nazar
Us nazar ko jhuka ke hi dam lenge ham) - (x2)
Teri dharti pe hai jo qadam gair ka
Us qadam ka nishaan tak mitaa denge ham(x2)
Jo bhi deewaar ab aayegi saamne
Thhokaron se usse ham giraa jaayenge
Aye watan aye watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Aye watan aye watam

Dekho Veer Jawanoo Apne

Movie : Aakraman
Singer : Kishore Kumar
Music Director : Laxmikant-Pyarelal
Lyrics : Anand Bakshi

Meri jaan se pyare tujko tera
Desh pukara ja
Ja bhaiya ja beta ja mere yara ja
(Dekho veer jawano
Apne khun pe ye ilzam na aaye) - (x2)
Maa na kahe ke mere bete
Waqt pada to kam na aaye
Dekho veer jawano
Apne khun pe ye ilzam na aaye
Dekho veer jawano..

Hum pehle bharatwasi - (x2)
Phir hindu muslim sikh isai
Hum pehle bharatwasi
Naam juda hai
To kya bharat maa ke sab ek hai bhai
Abdul uske bacho ko pale
Jo ghar wapas ram na aaye
Dekho veer jawano
Apne khun pe ye ilzam na aaye
Dekho veer jawano..

Andha beta yudh pe chala
To na ja na ja uski maa boli
Wo bola kam kar sakta hu
Main bhi dushman ki ek goli
Jikrar shahido ka ho to kyun
Unme mera naam na aaye
Dekho veer jawano
Apne khun pe ye ilzam na aaye
Dekho veer jawano..

Achaa chalte hai..
Achaa chalte hai..
Kab aayegenge ye kahena muskil hoga
Tum kaheti ho khat likna
Khat likne se kya hasil hoga
Khat ke sath ranbhumi se
Vijay ka jo paigam na aaye
Dekho veer jawano
Apne khun pe ye ilzam na aaye
Varna kahenge mere bete
Waqt gaya to kam na aaye
Dekho veer jawano
Apne khun pe ye ilzam na aaye

Jahan Dal Dal Par Sone Ki Chidiya

Movie : Sikandar-e-Azam (1965)
Singer : Mohammad Rafi
Music : Hansraj Behl
Lyrics : Rajinder Krishan

Jahaan daal-daal par sone ki chidiyaa karati hai basera
Vo bhaarat desh hai meraa...
Gurur brahma gurur vishnu, gurur devo maheshwaraah
Guru sakshat parabrahmah, tatsmaye shri guruvey namah

Jahaan daal-daal par sone ki chidiyaa karati hai basera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jahaan satya, ahimsa aur dharam ka pag-pag lagata dera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera

Ye dharati vo jahaan rishi muni, japate prabhu naam ki mala
Hari om, hari om, hari om, hari om
Jahaan har baalak ek mohan hai, aur radha har ek baala
Aur radha ek ek baala
Jahaan suraj sabase pehele aaker, daale apana phera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera

Jaha ganga, yamuna, krishna aur kaaveri baheti jaaye
Jaha poorab, pashchim, uttar, dakshin ko amrit pilwaaye
Ye amrit pilwaaye, kahin ye to fal aur fool ugaye
kahin keshar aur bhithera
Vo bhaarat desh hai meraa...

Alabelon ki is dharati ke, tyohaar bhi hai albele,
Kahin deewali ki jagamag hai, holi ke kahin mele,
Holi ke kahin mele,
Jahaan raag rang aur hansi khushi kaa, chaaro aur hai ghera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera

Jahaan aasamaan se baate karate, mandir aur shivalay
Kisi nagar mein kisi dwaar par, koi na tala daale
Koi na taalaa daale,
Aur prem ki bansi jahaan bajata, aaye shaam savera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera

Jahaan daal-daal par sone ki chidiyaa karati hai basera
Vo bhaarat desh hai meraa, vo bhaarat desh hai mera
Jahaan satya, ahimsa aur dharam ka pag-pag lagata dera
Vo bharat desh hai meraa, vo bharat desh hai mera

Zindagi Maut Na Ban Jaye

Movie : Sarfarosh (1999)
Singer : Sonu Nigam & Roop Kumar Rathod
Music : Jatin Lalit
Lyrics : Israr Ansari

Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Kho Raha Chaain-O-Aman
Kho Raha Chaain-O-Aman
Aa, Mushkilon Mein Hai Watan
Mushkilon Mein Hai Watan
Sarfaroshi Ki Shamaa Dil Mein Jalaa Lo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Kho Raha Chaain-O-Aman
Kho Raha Chaain-O-Aman
Aa, Mushkilon Mein Hai Watan
Mushkilon Mein Hai Watan
Sarfaroshi Ki Shamaa Dil Mein Jalaa Lo Yaaron, Yaaron..Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron…

Ek Taraf Pyaar Hai, Chaahat Hai, Wafadari Hai
Ek Taraf Desh Mein, Desh Mein
Ek Taraf Desh Mein, Dhoka Hai, Gaddari Hai
Bastiyaan Saahmi Hui, Saahmaa Chaman Saara Hai
Gam Mein Kyoon Dooba Hua Aaj Sabh Nazara Hai
Aag Pani Ki Jaga Abh Jo Barsayege
Leh Lahate Huey Sabh Khet Jhulas Jaayenge,
Jaayenge Jaayenge
Kho Raha Chaain-O-Aman
Kho Raha Chaain-O-Aman
Aa, Mushkilon Mein Hai Watan
Mushkilon Mein Hai Watan
Sarfaroshi Ki Shamaa Dil Mein Jalaa Lo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Haan, Kho Raha Chaain-O-Aman
Kho Raha Chaain-O-Aman
Haan, Mushkilon Mein Hai Watan
Mushkilon Mein Hai Watan
Sarfaroshi Ki Shamaa Dil Mein Jalaa Lo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron…

Chand Sikko Ke Liye, Tum Na Karo Kaam Bura
Na Karo Kaam Bura, Na Karo Kaam Bura
Na Karo Kaam Bura
Na Karo Kaam Bura
Har Burayi Ka Sadaa, Hota Hai Anjaam Bura
Har Burayi Ka Hai Bas, Anjaam Bura, Anjaam Bura
Anjaam Bura, Anjaam Bura
Anjaam Bura, Anjaam Bura
Jurm Waalon Ki Kahan, Umar Badi Hai Yaaron..Yaaron
In Ki Raahon Mein Sadaa, Maut Khadi Hai Yaaron..Yaaron

Zulm Karne Se Sadaa, Zulm Hi Haasil Hoga
Jo Na Sach Baat Kahey, Woh Koi Buzdil Hoga
Sarfaroshon Ne Lahoo De Ke Jise Seencha Hai
Aise Gulshan Ko Ujad Ne Se Bachaalo Yaaron
Sarfaroshi Ki Shamaa Dil Mein Jalaa Lo Yaaron, Yaaron..Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron
Kho Raha Chain-O-Amar
Kho Raha Chaain-O-Aman
Mushkilon Mein Hai Watan
Mushkilon Mein Hai Watan
Sarfaroshi Ki Shamaa Dil Mein Jalaa Lo Yaaron

Zindagi Maut Na Ban Jaye Sambhalo Yaaron(x4)

Maa Tujhe Salaam

Singer : A R Rahman
Lyrics :Mehboob

Vande Mataram…
Yahaan wahaan saara jahaan dekh liya hai
Kahin bhi bhi tere jaisa koi nahin hai

Assi nahin sau din duniya ghuma hai
Nahi kahin tere jaisa koi nahin
Main gaya jahan bhi
Bas teri yaad thi
Jo mere saath thi mujhko tadpaati rulaati
Sab se pyaari teri soorat
Pyaar hai bas tera pyaar hi
Maa tujhe salaam
Maa tujhe salaam
Amma tujhe salaam

Vande Mataram, Vande Mataram (x3)

Vande maataram…
Vande maataram..

Tere paas hi main aa raha hoon
Apni baahein khol de
Zor se mujhko gale laga le
Mujhko phir woh pyaar de
Maa…

Tu hi zindagi hai
Tu hi meri mohabbat hai
Tere hi pairon mein jannat hai
Tu hi dil
Tu jaan
Amma..

Maa tujhe salaam
Maa tujhe salaam
Amma tujhe salaam, maa tujhe salaam

Vande maataram..

Aisa Desh Hai Mera

Movie : Veer-Zaara
Singer : Lata Mangeshkar, Udit Narayan, Gurdas Maan & Preetha Mazumdar
Lyrics : Javed Akhtar

Lyrics:

Ambar hethaan dharti vasdi, ethey har rut hansdi ho..
Kinnaa sonaa des hei meraa des hai meraa des hai meraa
Des hai meraa

Dharti sunhari ambar neelaa
Dharti sunhari ambar neelaa
Har mausam rangeelaa
Aisaa des hai meraa ho… Aisa des hai mera
Aisaa des hai meraa ho… Aisa des hai mera
Bole papihaa koyal gaaye
Bole papihaa koyal gaaye
Saavan ghir ghir aaye
Aisa des hai meraa ho.. aisaa des hai mera
Aisa des hai meraa ho.. aisaa des hai mera

Kothe te kaa bole, chitthi mere maahiye di
Vich aaney daa vi naam bole, chitthi mere maahiye di

Genhoo ke kheton mein kanghi jo kare hawaayein
Rang birangi kitni chunariyaan ud ud jaayein
Panghat par panhaaran jab gagri bharne aaye
Madhur madhur taanon mein kahin bansi koi bajaaye
Lo sun lo qadam qadam pe hai mil jaani..
Qadam qadam pe hai mil jaani, Koi prem kahaani
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa
Aisaa des hai meraa haan.. Aisaa des hai meraa

O.. meri jugni de dhaage bagge, jugni os de moonh to fabbe
Jihnu satt ishq di lagge, oye Sai mereya o jugni
Veer mereyaa jugni kahandi hai
O naam saayehen daa leindi hai

O dil kad litaa ee jind meriye…

Baap ke kandhe chadh ke jahaan bachche dekhein mele
Melon mein nat ke tamaashe, kulfi ke chaat ke thele
Kahin milti meethi goli, kahin chooran ki hai pudiya
Bhole bhole bachche hain, jaise guddey aur gudiyaa
Aur inko roz sunaayein daadi naani ho..
Roz sunaaye daadi naani ik pariyon ki kahaani
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa
Aisaa des hai meraa ho.. Aisaa des hai meraa

Sadke sadke jaandi hai mutiyaare ni
Kandaa chubhaa phir pair baanki naarey ni
Oy, ni adiyeh kandaa chubhaa phir pair baanki naarey ni
Kaun kade teraa kaandraa mutiyaare ni
Kaun sahe teri peed baanki naarey ni
Oy, ni adiyeh kaun sahe teri peed baankiiyeh naarey ni

Ho…
Mere des mein mehmaanon ko bhagvaan kahaa jaataa hai
Woh yahin kaa ho jaataa hai, jo kahin se bhi aataa hai

Aa… Tere des ko maine dekha tere des ko maine jaana
Aa… Tere des ko maine dekha tere des ko maine jaana

Jaane kyun ye lagta hai mujhko jaanaa pahchaana
Yahaan bhi vahi shaam hai wahi saveraa
Wahi shaam hai vahi saveraa

Aisaa hi des hai meraa jaisaa des hai teraa
Waisaa des hai teraa haan jaisaa des hai teraa
Aisaa des hai meraa ho.. Jaisaa des hai teraa
Aisaa des hai meraa haan.. Jaisaa des hai meraa

Sarfaroshi Ki Tamanna

Movie : The Legend of Bhagat Singh
Singer : Sonu Nigam & Hariharan
Music : A R Rahman
Lyrics : Bismil Azimabadi

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai (x2)

Waqt aane pe bata denge tujhe ae aasmaan
Kya baatein hum junoonein shauq kis manzil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna

Doriyaan ummeed ki na aaj humse choot jaaye
Milke dekha hai jinhe woh sapne bhi na rooth jaayein
Hausle woh hausle kya jo sitam se toot jaaye
Hausle woh hausle kya jo sitam se toot jaaye

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Tere sone roop ko hum ek nayi bahar denge
Apne hi lahoon se tera rang hum nikhaar denge
Desh mere desh tujhpe zindagi bhi waar denge
Desh mere desh tujhpe zindagi bhi waar denge
Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Khushboo banke mehka karenge hum lehlahti har faslon mein
Saans ban ke hum gun-gunayenge aane wali har naslo mein hum (x2)
Aane wali aane wali naslo mein…

Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil mein hai
Dehkna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
Waqt aane pe bata denge tujhe hai aasmaan
Kya baatein hum junoonein shauq kis manzil mein hai

Mera Rang De Basanti

Movie : The Legend of Bhagat Singh
Singer : Sonu Nigam & Roop Kumar Rathod
Music : A R Rahman
Lyrics : Ram Prasad Bismil

Mera rang de..
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maiye rang de
O…

Nikle hai veer jiya le
Yun apna seena taane
Hans hans ke jaan lutane aazad savera laane

Marke kaise jeete hain iss duniya ko batlane
Tere laal chale hai maaye ab teri laaj bachane (x2)

Azadi ka shola banke khoon rago mein dola
Mera rang de..
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de

Din aaj ka bada suhaana mausam bhi bada sunehra
Hum sar pe baandh ke aaye balidaano ka yeh sahera
Betaab humaare dil mein ek masti si chhaayi hai
Aye desh alvida tujhko kehne ki gadi aayi hai
Mehake gaye teri fiza mein hum banke hawa ka jhonka
Kismat walo ko milta aise marne ka mauka
Nikli hai barat saja hai inquilab ka dola
Mera rang de
Mera rang de
Mera rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de
Mera rang de basanti chola rang de
Rang de Rang de basanti chola maaye rang de

Tu Bhoola Jise

Movie : AIRLIFT
Singer : K.K
Music : Ammal Mallik
Lyrics : Kumaar

Tu bhoola jise
Tujhko woh yaad karta raha
Tu jeeta raha
Tere liye woh marta raha
Tere dard ki aahat suni
Lo aa gaya, sab chhod ke
Teri raah mein.. lekar khushi..
Woh hai khada har mod pe
Sab chhhod ke

Tu bhoola jise
Tujhko woh yaad karta raha

Teri fikar mein guzarta raha lamha dar lamha
Tere saath duniya thi wo raha tanha ka tanha (x2)

Aansu mile
Dekha tha jo
Palkon ko bhi jodke
Teri raah mein.. lekar khushi..
Woh hai khada har mod pe
Sab chhhod ke

Vande Mataram…
Vande Mataram…
Vande Mataram…

Satyamev Jayate :Theme Song

Singer : Ram Sampath & Keerthi Sagathia
Music : Ram Sampath
Lyrics : Prasoon Joshi

Tera rung aisa chadh gaya
Koi aur rang naa chadh sake
Tera naam seene pe likha
Har koi aake padh sakey

Hai junoon hai junoon hai
Tere ishq ka ye junoon hai
Rag rag mein ishq tera daudta
Yeh bawraa sa khoon hai
Tune hi sikhaya sachchaiyon ka matlab
Tere paas aake jaana maine zindagi ka maqsad
Satyamev… satyamev… satyamev jayate
Sachcha hai pyaar tera, satyamev jayate

Tere noor ke dastoor mein
Na ho salwatein na shikan rahe
Meri koshishein toh hai bas yahin
Rahein khushbooein gulshan rahe
Teri zulf suljhane chala
Tere aur paas aane chala
Jahan koi sur na ho be-sura
Woh geet main gaane chala

Tera rang aisa chadh gaya
Tha nasha jo aur bhi badh gaya
Teri barishon ka karam hai ye
Main nikhar Gaya main sanwar gaya
Jaisa bhi hoon apna mujhe
Mujhe ye nahin hai bolna
Qaabil tere main ban sakoo
Mujhe dwaar aisa kholna
Saanson ki iss raftaar ko
Dhadkan ke iss tyohaar ko
Har jeet ko har haar ko
Khud apne iss sansaar ko
Badloonga main tere liye

Mujhe khud ko bhi hai tatolna
Kahin hai kami to hai bolna
Khahin daag hain toh chupayein kyon
Hum sach se nazrein hatayein kyon
Khud ko badalna hai agar
Badloonga main tere liye
Sholon pe chalna hai agar
Chal doonga main tere liye
Mere khoon kee har boond main
Sankalp ho tere pyaar ka
Kato mujhey to too bahe
Ho surkh rang har dhar ka

Desh Bhakti / Patriotic Songs with Lyrics Desh Bhakti / Patriotic Songs with Lyrics Reviewed by LyricsPlane on 03:38:00 Rating: 5

No comments