Woh Jahaan Lyrics -ROCK ON 2 | Shraddha Kapoor, Farhan Akhtar
Woh Jahaan Lyrics
Neela aakash jo ik samandar hai Usme kahin koi aisa sitaara bhi hai Jisme doosri ikk duniya ho basi Jisme ho jaagti zindagi
Par humse alag, humse judaa Ik nishaan bhi na ho jahan dard ka Jeena jahan ho nahi mushkil
Koi rota na ho Chain khota na ho Ho ye sabko yakeen Koi tanha nahin Na kabhi toote kisi ka dil
Woh jahaan, koi dukh ho na ho koi gham Woh jahaan, palkein na hon num Dilon mein ho na deewarein na dooriyan Woh jahaan, poore ho armaan
Sabko ho ye pataa Sab dilon mein Mohabbat ek gehri dhaara bhi hai Neele aakash mein koi aisa sitara bhi hai
Neele aakash ke iss samandar ka Chand ki kasti mein maine kiya hai safar Dhoondhti ho agar tum jo duniya haseen Woh duniya hai yahin Woh yahin hai kahin
Haan magar uske chehre par Nafrat ki zulm ki Ikk dhool hai jam gayi
Haan magar uske tann pe lipti Lalach ki hai zanjeer toh Woh duniya aate aate tham gayi
Uske chehre se ye dhool hatt jaaye toh Uske tann se ye zanjeer kat jaaye toh Dekhna phir yahaan Iss zameen par hi hogi woh duniya
Woh jahaan, koi dukh ho na ho koi gham Woh jahaan, palkein na hon num Dilon mein ho na deewarein na dooriyan Woh jahaan poore ho armaan
Muskurati ho chehron pe ik roshni Zindagi ho mohabbat bhari zindagi
No comments